koī parī ho agar ham-kanār holī meñ
to ab kī saal ho duunī bahār holī meñ
kiyā hai va.ada to phir bazm-e-raqs meñ aanā
na kījiyo mujhe tum sharmsār holī meñ
safed pairahan ab to utaar de allāh
basantī kapḌe hoñ ai gul-ezār holī meñ
hamāre ghar meñ utāreñge raah agar bhūle
haiñ mast Dolī ke un ke kahār holī meñ
mujhe jo qumquma maarā to kar diyā bismil
ajiib rañg se khele shikār holī meñ
ye rañg paash hue haiñ vo aaj ai 'nādir'
hai farsh-e-bazm-e-tarab lāla-zār holī meñ
koi pari ho agar ham-kanar holi mein
to ab ki sal ho duni bahaar holi mein
kiya hai wada to phir bazm-e-raqs mein aana
na kijiyo mujhe tum sharmsar holi mein
safed pairahan ab to utar de allah
basanti kapDe hon ai gul-ezar holi mein
hamare ghar mein utarenge rah agar bhule
hain mast Doli ke un ke kahaar holi mein
mujhe jo qumquma mara to kar diya bismil
ajib rang se khele shikar holi mein
ye rang pash hue hain wo aaj ai 'nadir'
hai farsh-e-bazm-e-tarab lala-zar holi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.