duniya tamam luT rahi hai bahaar-e-id
duniyā tamām luuT rahī hai bahār-e-īd
lekin hameñ to aaj bhī hai intizār-e-eid
har zarra ashk-bār hai maazī kī yaad meñ
hai iid bhī bajā-e-ḳhud ik yādgār-e-īd
ham āsmāñ pe chāñd kā nazzāra kyā kareñ
abrū ko un ke dekheñ to ho e'tibār-e-īd
ab ke siyāh-ḳhāne meñ baiThe guzār dī
allāh ham ko yaad rahegī bahār-e-īd
hai ghar kā ek gosha maiñ huuñ yād-e-yār hai
har dāġh-e-dil banā hai charāġh-e-mazār-e-īd
'sā.ib' gale kā haar huī ab ke muflisī
kuchh kam nahīñ ḳhizān-e-alam se bahār-e-īd
duniya tamam luT rahi hai bahaar-e-id
lekin hamein to aaj bhi hai intizar-e-eid
har zarra ashk-bar hai mazi ki yaad mein
hai id bhi baja-e-KHud ek yaadgar-e-id
hum aasman pe chand ka nazzara kya karen
abru ko un ke dekhen to ho e'tibar-e-id
ab ke siyah-KHane mein baiThe guzar di
allah hum ko yaad rahegi bahaar-e-id
hai ghar ka ek gosha main hun yaad-e-yar hai
har dagh-e-dil bana hai charagh-e-mazar-e-id
'saib' gale ka haar hui ab ke muflisi
kuchh kam nahin KHizan-e-alam se bahaar-e-id
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.