zamin ke TukDe kiye aasman banTega
zamīñ ke TukḌe kiye āsmān bāñTegā
vo shāh-e-vaqt hai saarā jahān bāñTegā
rakhe rahegā vo tīroñ pe dastaras apnī
hamāre biich to ḳhālī kamān bāñTegā
jo kaaT le gayā fasl-e-yaqīn khetoñ se
palaT ke aa.egā shāḳh-e-gumān bāñTegā
katar ke pañkh hamāre daroñ ko khol diyā
ḳhabar milī thī ki ūñchī uḌaan bāñTegā
kahāñ vo dard kā rishta rahā salāmat ab
jo haath thaam ke saarī takān bāñTegā
tamām chehre dhuāñ ho ga.e 'tabassum' jab
to kis ke biich vo shahr-e-amān bāñTegā
zamin ke TukDe kiye aasman banTega
wo shah-e-waqt hai sara jahan banTega
rakhe rahega wo tiron pe dastaras apni
hamare bich to KHali kaman banTega
jo kaT le gaya fasl-e-yaqin kheton se
palaT ke aaega shaKH-e-guman banTega
katar ke pankh hamare daron ko khol diya
KHabar mili thi ki unchi uDan banTega
kahan wo dard ka rishta raha salamat ab
jo hath tham ke sari takan banTega
tamam chehre dhuan ho gae 'tabassum' jab
to kis ke bich wo shahr-e-aman banTega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.