tamir-e-kaenat ke saman liye hue
ta.amīr-e-kā.enāt ke sāmāñ liye hue
aa.ī huuñ rāz-e-ālam-e-imkāñ liye hue
jā.ūñ kidhar maiñ kashtī-e-armāñ liye hue
har sāhil-e-murād hai tūfāñ liye hue
jalva nazar fareb hai duniyā hai dil fareb
har aa.ina hai dīda-e-hairāñ liye hue
ḳhud-bīñ tū mere sheva-e-taslīm par na jā
baiThī huuñ rāz-e-ālam-e-imkāñ liye hue
har qatra hai talātum-e-dariyā kī yādgār
har zarra hai numūd-e-bayābāñ liye hue
shān-e-junūñ to dekhiye apne saroñ pe aaj
phirte haiñ mujh ko ḳhār-e-bayābāñ liye hue
allāh re duā-e-lab-e-zaḳhm kā asar
vo ḳhud hī aa rahe haiñ namak-dāñ liye hue
pur-dāġh merā dil rahā bazm-e-nashāt meñ
aayā hazār sham-e-farozāñ liye hue
o be-niyāz dekh tirī bazm-e-nāz se
jaatī huuñ ishq-e-be-sar-o-sāmāñ liye hue
'kulsūm' kal vo guzre haiñ mere qarīb se
āñkhoñ meñ ik sharārat-e-pinhāñ liye hue
tamir-e-kaenat ke saman liye hue
aai hun raaz-e-alam-e-imkan liye hue
jaun kidhar main kashti-e-arman liye hue
har sahil-e-murad hai tufan liye hue
jalwa nazar fareb hai duniya hai dil fareb
har aaina hai dida-e-hairan liye hue
KHud-bin tu mere shewa-e-taslim par na ja
baiThi hun raaz-e-alam-e-imkan liye hue
har qatra hai talatum-e-dariya ki yaadgar
har zarra hai numud-e-bayaban liye hue
shan-e-junun to dekhiye apne saron pe aaj
phirte hain mujh ko KHar-e-bayaban liye hue
allah re dua-e-lab-e-zaKHm ka asar
wo KHud hi aa rahe hain namak-dan liye hue
pur-dagh mera dil raha bazm-e-nashat mein
aaya hazar sham-e-farozan liye hue
o be-niyaz dekh teri bazm-e-naz se
jati hun ishq-e-be-sar-o-saman liye hue
'kulsum' kal wo guzre hain mere qarib se
aankhon mein ek shararat-e-pinhan liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.