phir mausam-e-yaKH-basta badalne ki KHabar de
phir mausam-e-yaḳh-basta badalne kī ḳhabar de
rag rag meñ jamī barf pighalne kī ḳhabar de
yā dil ke charāġhoñ ko lahū aur atā kar
yā raah meñ phir chāñd nikalne kī ḳhabar de
yā mausam-e-ḳhush-rañg koī bhej zamīñ par
yā gardish-e-aflāk badalne kī ḳhabar de
bas uḌte bagūle haiñ sarāboñ ke safar meñ
eḌī koī chashme ke ubalne kī ḳhabar de
dar band kiye log gharoñ meñ haiñ muqayyad
āseb-zada raat ke Dhalne kī ḳhabar de
bhīgī hui lakḌī huuñ dhuāñ detī huuñ pahroñ
ab mujh ko mirī aag meñ jalne kī ḳhabar de
aḳhbār bhī dahshat kā tarāshā hai 'tabassum'
har sub.h faqat dil ke dahalne kī ḳhabar de
phir mausam-e-yaKH-basta badalne ki KHabar de
rag rag mein jami barf pighalne ki KHabar de
ya dil ke charaghon ko lahu aur ata kar
ya rah mein phir chand nikalne ki KHabar de
ya mausam-e-KHush-rang koi bhej zamin par
ya gardish-e-aflak badalne ki KHabar de
bas uDte bagule hain sarabon ke safar mein
eDi koi chashme ke ubalne ki KHabar de
dar band kiye log gharon mein hain muqayyad
aaseb-zada raat ke Dhalne ki KHabar de
bhigi hui lakDi hun dhuan deti hun pahron
ab mujh ko meri aag mein jalne ki KHabar de
aKHbar bhi dahshat ka tarasha hai 'tabassum'
har subh faqat dil ke dahalne ki KHabar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.