lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai
lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai
Kahkashan Tabassum
MORE BYKahkashan Tabassum
lahū kī mauj meñ jiinā mire hisse meñ aayā hai
bhañvar bantā huā dariyā mire hisse meñ aayā hai
sunahrī ahd-e-māzī kī rivāyat ham se thī lekin
faqat dīmak lagā pannā mire hisse meñ aayā hai
parinde āshiyāna chhoḌ ke kis samt jā nikle
dukhoñ kā ik shajar tanhā mire hisse meñ aayā hai
rupahlī chāñdnī us ko amīr-e-shahr kī baḳhshish
sulagtī dhuup kā sahrā mire hisse meñ aayā hai
darīche khol ke bhī rut kā andāza na kar pā.ūñ
ajab dahshat-zada lamha mire hisse meñ aayā hai
'tabassum' haath meñ jugnū liye dar-dar bhaTaktī huuñ
ki ghāyal raat kā nauha mire hisse meñ aayā hai
lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai
bhanwar banta hua dariya mere hisse mein aaya hai
sunahri ahd-e-mazi ki riwayat hum se thi lekin
faqat dimak laga panna mere hisse mein aaya hai
parinde aashiyana chhoD ke kis samt ja nikle
dukhon ka ek shajar tanha mere hisse mein aaya hai
rupahli chandni us ko amir-e-shahr ki baKHshish
sulagti dhup ka sahra mere hisse mein aaya hai
dariche khol ke bhi rut ka andaza na kar paun
ajab dahshat-zada lamha mere hisse mein aaya hai
'tabassum' hath mein jugnu liye dar-dar bhaTakti hun
ki ghayal raat ka nauha mere hisse mein aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.