baat lakhon ki sahi par wo nahin mane to
baat lākhoñ kī sahī par vo nahīñ maane to
sach kī mīzān pe rakh kar bhī na gardāne to
dekh kar jaate hue chīḳh rahī huuñ be-sūd
shaḳhsiyat ko mirī aa kar bhī na pahchāne to
toḌ kar dair-o-kalīsā to banā dī masjid
dil meñ ābād jo ho jaa.eñ sanam-ḳhāne to
sham.a ban kar to pighalne ko ham āmāda haiñ
Dar ye hai rasm-e-vafā toḌ deñ parvāne to
shahr-e-be-mehr meñ jaanā to bahut chāhtī hai
gar vahāñ log mirī shakl na pahchāne to
dil dhaḌaktā hai kahīñ hashr na phir jaag uThe
chauñk kar khul ga.e do āñkhoñ ke maiḳhāne to
kar ke dar band 'ayāñ' baiThī huuñ ġhairoñ ke liye
bhes meñ apnoñ ke ghar aa ga.e begāne to
baat lakhon ki sahi par wo nahin mane to
sach ki mizan pe rakh kar bhi na gardane to
dekh kar jate hue chiKH rahi hun be-sud
shaKHsiyat ko meri aa kar bhi na pahchane to
toD kar dair-o-kalisa to bana di masjid
dil mein aabaad jo ho jaen sanam-KHane to
shama ban kar to pighalne ko hum aamada hain
Dar ye hai rasm-e-wafa toD den parwane to
shahr-e-be-mehr mein jaana to bahut chahti hai
gar wahan log meri shakl na pahchane to
dil dhaDakta hai kahin hashr na phir jag uThe
chaunk kar khul gae do aankhon ke maiKHane to
kar ke dar band 'ayan' baiThi hun ghairon ke liye
bhes mein apnon ke ghar aa gae begane to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.