fasl-e-gul aate hi wahshat ho gai
fasl-e-gul aate hī vahshat ho ga.ī
phir vahī apnī tabī.at ho ga.ī
kyā batā.ūñ kis tarah dil aa gayā
kyā kahūñ kyuuñ kar mohabbat ho ga.ī
dekhiye puḳhta-mizājī yaar kī
ho ga.ī jis par ināyat ho ga.ī
intihā-e-nā-umīdī dekhiye
jo tamannā thī vo hasrat ho ga.ī
fasl-e-gul aate hi wahshat ho gai
phir wahi apni tabiat ho gai
kya bataun kis tarah dil aa gaya
kya kahun kyun kar mohabbat ho gai
dekhiye puKHta-mizaji yar ki
ho gai jis par inayat ho gai
intiha-e-na-umidi dekhiye
jo tamanna thi wo hasrat ho gai
- Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.