fasil shahr ki itni buland o saKHt hui
fasīl shahr kī itnī buland o saḳht huī
ki kul sipāh mazāmīn-e-tāj-o-taḳht huī
bujhā charāġh thī maiñ hāsidoñ kī āñkhoñ meñ
duā ke shahr meñ aa.ī to sabz baḳht huī
vo lamha jab mire bachche ne maañ pukārā mujhe
maiñ ek shāḳh se kitnā ghanā daraḳht huī
kisī ne sabz jazīre pe mujh ko rok liyā
safar ke azm kī naav bhī laḳht laḳht huī
ta.alluqāt 'humairā' kabīda hone meñ
nigāh-e-dost kī āvāz bhī karaḳht huī
fasil shahr ki itni buland o saKHt hui
ki kul sipah mazamin-e-taj-o-taKHt hui
bujha charagh thi main hasidon ki aankhon mein
dua ke shahr mein aai to sabz baKHt hui
wo lamha jab mere bachche ne man pukara mujhe
main ek shaKH se kitna ghana daraKHt hui
kisi ne sabz jazire pe mujh ko rok liya
safar ke azm ki naw bhi laKHt laKHt hui
talluqat 'humaira' kabida hone mein
nigah-e-dost ki aawaz bhi karaKHt hui
- Book : urdu gazal ka magribi daricha (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.