fasil-e-jaan pe rakkhi thi na baam-o-dar pe rakkhi thi
fasīl-e-jāñ pe rakkhī thī na bām-o-dar pe rakkhī thī
zamāne bhar kī be-ḳhvābī mire bistar pe rakkhī thī
ubhar aa.ī thī peshānī pe naqsh-e-mo'tabar ban kar
purānī fikr kī ḳhushbū na.e manzar pe rakkhī thī
nazar uTThī to bas hairat se ham dekhā kiye us ko
hamārī gum-shuda dastār us ke sar pe rakkhī thī
usī ko zaḳhm dene par tulā thā sar-phirā sūraj
mirī taḳh.īl kī buniyād jis shahpar pe rakkhī thī
zamīñ par raushnī aatī rahī jaatī rahī lekin
hamārī ḳhāna-vīrānī bas ik mehvar pe rakkhī thī
pasīna merī mehnat kā mire māthe pe raushan thā
chamak la.al-o-javāhar kī mirī Thokar pe rakkhī thī
mire sar par musalsal aag barsātā rahā sūraj
na jaane kaisī ThanDak merī chashm-e-tar pe rakkhī thī
mirī gardan jo zīnat ban chukī thī qatl-gāhoñ kī
kabhī neze pe rakkhī thī kabhī ḳhanjar pe rakkhī thī
badal kar pairahan qadmoñ ke nīche aa ga.ī 'nāzir'
vahī miTTī jo ik din dast-e-kūza-gar pe rakkhī thī
fasil-e-jaan pe rakkhi thi na baam-o-dar pe rakkhi thi
zamane bhar ki be-KHwabi mere bistar pe rakkhi thi
ubhar aai thi peshani pe naqsh-e-mo'tabar ban kar
purani fikr ki KHushbu nae manzar pe rakkhi thi
nazar uTThi to bas hairat se hum dekha kiye us ko
hamari gum-shuda dastar us ke sar pe rakkhi thi
usi ko zaKHm dene par tula tha sar-phira suraj
meri taKHil ki buniyaad jis shahpar pe rakkhi thi
zamin par raushni aati rahi jati rahi lekin
hamari KHana-virani bas ek mehwar pe rakkhi thi
pasina meri mehnat ka mere mathe pe raushan tha
chamak lal-o-jawahar ki meri Thokar pe rakkhi thi
mere sar par musalsal aag barsata raha suraj
na jaane kaisi ThanDak meri chashm-e-tar pe rakkhi thi
meri gardan jo zinat ban chuki thi qatl-gahon ki
kabhi neze pe rakkhi thi kabhi KHanjar pe rakkhi thi
badal kar pairahan qadmon ke niche aa gai 'nazir'
wahi miTTi jo ek din dast-e-kuza-gar pe rakkhi thi
- Book : dasht-e-ehsaas (Pg. 53)
- Author : naazir siddiqui
- Publication : educational publishing house (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.