shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai
shikasta-hāl sā be-āsrā sā lagtā hai
ye shahr dil se ziyāda dukhā sā lagtā hai
har ik ke saath koī vāqi.a sā lagtā hai
jise bhī dekho vo khoyā huā sā lagtā hai
zamīn hai so vo apnī gardishoñ meñ kahīñ
jo chāñd hai so vo TuuTā huā sā lagtā hai
mere vatan pe utarte hue añdheroñ ko
jo tum kaho mujhe qahr-e-ḳhudā sā lagtā hai
jo shaam aa.ī to phir shaam kā lagā darbār
jo din huā to vo din karbalā sā lagtā hai
ye raat khā ga.ī ik ek kar ke saare charāġh
jo rah gayā hai vo bujhtā huā sā lagtā hai
duā karo ki maiñ us ke liye duā ho jā.ūñ
vo ek shaḳhs jo dil ko duā sā lagtā hai
to dil meñ bujhne sī lagtī hai kā.enāt tamām
kabhī kabhī jo mujhe tū bujhā sā lagtā hai
jo aa rahī hai sadā ġhaur se suno us ko
ki is sadā meñ ḳhudā boltā sā lagtā hai
abhī ḳharīd leñ duniyā kahāñ kī mahñgī hai
magar zamīr kā saudā burā sā lagtā hai
ye maut hai yā koī āḳhirī visāl ke ba.ad
ajab sukūn meñ soyā huā sā lagtā hai
havā-e-rañg-e-do-ālam meñ jāgtī huī lai
'alīm' hī kahīñ naġhma-sarā sā lagtā hai
shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai
ye shahr dil se ziyaada dukha sa lagta hai
har ek ke sath koi waqia sa lagta hai
jise bhi dekho wo khoya hua sa lagta hai
zamin hai so wo apni gardishon mein kahin
jo chand hai so wo TuTa hua sa lagta hai
mere watan pe utarte hue andheron ko
jo tum kaho mujhe qahr-e-KHuda sa lagta hai
jo sham aai to phir sham ka laga darbar
jo din hua to wo din karbala sa lagta hai
ye raat kha gai ek ek kar ke sare charagh
jo rah gaya hai wo bujhta hua sa lagta hai
dua karo ki main us ke liye dua ho jaun
wo ek shaKHs jo dil ko dua sa lagta hai
to dil mein bujhne si lagti hai kaenat tamam
kabhi kabhi jo mujhe tu bujha sa lagta hai
jo aa rahi hai sada ghaur se suno us ko
ki is sada mein KHuda bolta sa lagta hai
abhi KHarid len duniya kahan ki mahngi hai
magar zamir ka sauda bura sa lagta hai
ye maut hai ya koi aaKHiri visal ke baad
ajab sukun mein soya hua sa lagta hai
hawa-e-rang-e-do-alam mein jagti hui lai
'alim' hi kahin naghma-sara sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.