nahin rukta to ja KHuda-hafiz
nahīñ ruktā to jā ḳhudā-hāfiz
ai dil-e-mubtalā ḳhudā-hāfiz
aa.ī hogī to maut aa.egī
tum to jaao mirā ḳhudā hāfiz
ham chale rehn-e-ārzū ho kar
dil-e-be-mudda.ā ḳhudā-hāfiz
ek kāfir kī hai nazar dil par
mere īmān kā ḳhudā hāfiz
bas ḳhudā yaad aa gayā 'nātiq'
jab vo kah kar chalā ḳhudā-hāfiz
nahin rukta to ja KHuda-hafiz
ai dil-e-mubtala KHuda-hafiz
aai hogi to maut aaegi
tum to jao mera KHuda hafiz
hum chale rehn-e-arzu ho kar
dil-e-be-muddaa KHuda-hafiz
ek kafir ki hai nazar dil par
mere iman ka KHuda hafiz
bas KHuda yaad aa gaya 'natiq'
jab wo kah kar chala KHuda-hafiz
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.