dam koi dam ka hai mehman alwidaa
dam koī dam kā hai mehmāñ alvidā.a
dard-o-ġham mere dil-o-jāñ alvidā.a
aa gale mil le ki phir milnā kahāñ
al-firāq ai teġh-e-uryāñ alvidā.a
ho chukī merī pareshānī kī had
le ab ai zulf-e-pareshāñ alvidā.a
baḌh gayā sāmān-e-nāsāzī bahut
assalām ai sāz-o-sāmāñ alvidā.a
ab hameñ ro baiTh ronā ho chukā
alvidā.a ai chashm-e-giryāñ alvidā.a
ab kahāñ 'nātiq' ye bad-mastī kahāñ
al-firāq ai bazm-e-rindāñ alvidā.a
dam koi dam ka hai mehman alwidaa
dard-o-gham mere dil-o-jaan alwidaa
aa gale mil le ki phir milna kahan
al-firaq ai tegh-e-uryan alwidaa
ho chuki meri pareshani ki had
le ab ai zulf-e-pareshan alwidaa
baDh gaya saman-e-nasazi bahut
assalam ai saz-o-saman alwidaa
ab hamein ro baiTh rona ho chuka
alwidaa ai chashm-e-giryan alwidaa
ab kahan 'natiq' ye bad-masti kahan
al-firaq ai bazm-e-rindan alwidaa
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.