dam-e-ruKHsat jo un se kah ke main uTTha KHuda-hafiz
dam-e-ruKHsat jo un se kah ke main uTTha KHuda-hafiz
Mirza Asman Jah Anjum
MORE BYMirza Asman Jah Anjum
dam-e-ruḳhsat jo un se kah ke maiñ uTThā ḳhudā-hāfiz
lage jhuñjhlā ke vo kahne bahut achchhā ḳhudā-hāfiz
jo maiñ jaatā huuñ uTh kar fī-amānillāh kahtā huuñ
tire muñh se na o kāfir kabhī niklā ḳhudā-hāfiz
kahā hai kis ne tum se chūmo-chāTo jā ke patthar ko
tumhāre zāhido ab den o īmāñ kā ḳhudā hāfiz
hifāzat meñ vo dekhe ġhair kī tujh ko qayāmat hai
kabhī jo bad-gumānī se na ho kahtā ḳhudā-hāfiz
sunā hai aaj vo but ḳhuub hī ban-Than ke aatā hai
tire dil kā are o 'anjum'-e-shaidā ḳhudā hāfiz
dam-e-ruKHsat jo un se kah ke main uTTha KHuda-hafiz
lage jhunjhla ke wo kahne bahut achchha KHuda-hafiz
jo main jata hun uTh kar fi-amanillah kahta hun
tere munh se na o kafir kabhi nikla KHuda-hafiz
kaha hai kis ne tum se chumo-chaTo ja ke patthar ko
tumhaare zahido ab den o iman ka KHuda hafiz
hifazat mein wo dekhe ghair ki tujh ko qayamat hai
kabhi jo bad-gumani se na ho kahta KHuda-hafiz
suna hai aaj wo but KHub hi ban-Than ke aata hai
tere dil ka are o 'anjum'-e-shaida KHuda hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.