ai KHuda-e-junun KHuda-hafiz
ai ḳhudā-e-junūñ ḳhudā-hāfiz
bandagī ke fusūñ ḳhudā-hāfiz
jin laboñ se tumheñ diyā bosa
kaise un se kahūñ ḳhudā-hāfiz
zāhiran ek lams thā us kā
zaḳhm-hā-e-darūñ ḳhudā-hāfiz
chashm-e-nam kī havā mubārak ho
ai mire dil ke ḳhuuñ ḳhudā-hāfiz
terā jaanā ajiib lagtā thā
ab himāyat meñ huuñ ḳhudā-hāfiz
hālat-e-raqs meñ hai Thahrāv
iztirāb-o-sukūñ ḳhudā-hāfiz
tum mujhe sun ke an-sunī karnā
laakh kahtā rahūñ ḳhudā-hāfiz
maiñ mohabbat kī aañkh se niklā
āḳhirī ashk huuñ ḳhudā-hāfiz
ai KHuda-e-junun KHuda-hafiz
bandagi ke fusun KHuda-hafiz
jin labon se tumhein diya bosa
kaise un se kahun KHuda-hafiz
zahiran ek lams tha us ka
zaKHm-ha-e-darun KHuda-hafiz
chashm-e-nam ki hawa mubarak ho
ai mere dil ke KHun KHuda-hafiz
tera jaana ajib lagta tha
ab himayat mein hun KHuda-hafiz
haalat-e-raqs mein hai Thahraw
iztirab-o-sukun KHuda-hafiz
tum mujhe sun ke an-suni karna
lakh kahta rahun KHuda-hafiz
main mohabbat ki aankh se nikla
aaKHiri ashk hun KHuda-hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.