falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam Thahre
falak kī gardisheñ aisī nahīñ jin meñ qadam Thahre
sakūñ dushvār hai kyūñkar tabī'at koī dam Thahre
qazā ne dostoñ se dekhiye āḳhir kiyā nādim
kiye the 'ahd-o-paimāñ jis qadar vo kul 'adam Thahre
chhuā tū ne jise maarā use ai afa.ī-e-gesū
ye sab tiryāq mere tajraba karne meñ sam Thahre
kiyā jab ġhaur kosoñ duur niklī manzil-e-maqsad
kabhī gar pā-e-shal uTThe to chal kar do qadam Thahre
lagā kar dil judā honā na thī shart-e-vafā sāhab
ġham-e-furqat kī shiddat se karam jaur-o-sitam Thahre
jo kuchh dekhā vo ā.īna thā aane vaalī hālat kā
jahāñ dekhā yahī āñkhoñ ke kāñse jām-e-jam Thahre
'amal kahne pe apne hazrat-e-vā'iz kareñ pahle
gunah ke mo'tarif jab haiñ to vo kab mohtaram Thahre
javānī kī siyah-mastī meñ vasf-e-zulf likkhā thā
baḌhā vo silsila aisā ki ham mushkīñ qalam Thahre
ye sābit hai ki mutlaq kā ta.ayyun ho nahīñ saktā
vo sālik hī nahīñ jo chal ke tā-dair-o-haram Thahre
bashar ko qaid-e-kulfat māya-e-andoh-o-āfat hai
rahe achchhe jo is mehmāñ-sarā meñ aa ke kam Thahre
'habīb'-e-nā-tavāñ se rāh-e-ulfat tai nahīñ hotī
'ajab kyā gar ye rasta jāda-e-mulk-e-adam Thahre
falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam Thahre
sakun dushwar hai kyunkar tabi'at koi dam Thahre
qaza ne doston se dekhiye aaKHir kiya nadim
kiye the 'ahd-o-paiman jis qadar wo kul 'adam Thahre
chhua tu ne jise mara use ai afai-e-gesu
ye sab tiryaq mere tajraba karne mein sam Thahre
kiya jab ghaur koson dur nikli manzil-e-maqsad
kabhi gar pa-e-shal uTThe to chal kar do qadam Thahre
laga kar dil juda hona na thi shart-e-wafa sahab
gham-e-furqat ki shiddat se karam jaur-o-sitam Thahre
jo kuchh dekha wo aaina tha aane wali haalat ka
jahan dekha yahi aankhon ke kanse jam-e-jam Thahre
'amal kahne pe apne hazrat-e-wa'iz karen pahle
gunah ke mo'tarif jab hain to wo kab mohtaram Thahre
jawani ki siyah-masti mein wasf-e-zulf likkha tha
baDha wo silsila aisa ki hum mushkin qalam Thahre
ye sabit hai ki mutlaq ka tayyun ho nahin sakta
wo salik hi nahin jo chal ke ta-dair-o-haram Thahre
bashar ko qaid-e-kulfat maya-e-andoh-o-afat hai
rahe achchhe jo is mehman-sara mein aa ke kam Thahre
'habib'-e-na-tawan se rah-e-ulfat tai nahin hoti
'ajab kya gar ye rasta jada-e-mulk-e-adam Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.