yaad tum aae to phir ban gain baadal aankhen
yaad tum aa.e to phir ban ga.iiñ bādal āñkheñ
dil ke vīrāne ko karne lagīñ jal-thal āñkheñ
merī āñkhoñ kā koī abr se rishta hai zarūr
TuuT ke barsī ghaTā jab huiiñ bojhal āñkheñ
ḳhvāb ko ḳhvāb samajhtī hī nahīñ jaane kyuuñ
DhūñDhtī rahtī haiñ ik shaḳhs ko pāgal āñkheñ
kaisā rishta hai ta'alluq hai ye kaisā āḳhir
choT to dil pe lagī ho ga.iiñ ghāyal āñkheñ
shoḳhiyāñ sharm-o-hayā nuur ke saa.e jheleñ
'umr meñ pahle-pahal dekheñ mukammal āñkheñ
jis tarah koī ġhazal likkhī ho matla' ke baġhair
yuuñ nazar aatī haiñ aksar binā kājal āñkheñ
ai 'shakīl' un se kaho pyaar se vo duur raheñ
dard kā bojh na sah pā.eñgī chanchal āñkheñ
yaad tum aae to phir ban gain baadal aankhen
dil ke virane ko karne lagin jal-thal aankhen
meri aankhon ka koi abr se rishta hai zarur
TuT ke barsi ghaTa jab huin bojhal aankhen
KHwab ko KHwab samajhti hi nahin jaane kyun
DhunDhti rahti hain ek shaKHs ko pagal aankhen
kaisa rishta hai ta'alluq hai ye kaisa aaKHir
choT to dil pe lagi ho gain ghayal aankhen
shoKHiyan sharm-o-haya nur ke sae jhelen
'umr mein pahle-pahal dekhen mukammal aankhen
jis tarah koi ghazal likkhi ho matla' ke baghair
yun nazar aati hain aksar bina kajal aankhen
ai 'shakil' un se kaho pyar se wo dur rahen
dard ka bojh na sah paengi chanchal aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.