ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
rukī huī hai abhī tak bahār āñkhoñ meñ
shab-e-visāl kā jaise ḳhumār āñkhoñ meñ
miTā sakegī use gard-e-māh-o-sāl kahāñ
khiñchī huī hai jo tasvīr-e-yār āñkhoñ meñ
bas ek shab kī masāfat thī aur ab tak hai
mah o nujūm kā saarā ġhubār āñkhoñ meñ
hazār sāhib-e-raḳhsh-e-sabā-mizāj aa.e
basā huā hai vahī shah-savār āñkhoñ meñ
vo ek thā pa kiyā us ko jab tah-e-talvār
to baT gayā vahī chehra hazār āñkhoñ meñ
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab-e-visal ka jaise KHumar aankhon mein
miTa sakegi use gard-e-mah-o-sal kahan
khinchi hui hai jo taswir-e-yar aankhon mein
bas ek shab ki masafat thi aur ab tak hai
mah o nujum ka sara ghubar aankhon mein
hazar sahib-e-raKHsh-e-saba-mizaj aae
basa hua hai wahi shah-sawar aankhon mein
wo ek tha pa kiya us ko jab tah-e-talwar
to baT gaya wahi chehra hazar aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.