rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen
rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
rone kī ye shiddat hai ki ghabrā ga.iiñ āñkheñ
ashkoñ kī ye kasrat hai ki tañg aa ga.iiñ āñkheñ
dil saḳht hī kāfir kā par āñkhoñ meñ hayā hai
sunte hī jafā kā gila sharmā ga.iiñ āñkheñ
mehrāb meñ hotā nahīñ mastoñ kā guzāra
abrū ke tale ḳhuub jagah pā ga.iiñ āñkheñ
vo tālib-e-dīdār ke paas aa.eñ magar kyā
hairat kā ye aalam hai ki kuubā ga.iiñ āñkheñ
farhād ne kyā dekh ke sar teshe se phoḌā
sūjhā na kuchh is rū se ki tihrā ga.iiñ āñkheñ
dil de ke rahā girya-e-ḳhūnī kā mujhe shaġhl
baaqī thā jigar so use yuuñ kahā ga.iiñ āñkheñ
chaḌhte nahīñ ab merī nazar meñ mah-o-ḳhurshīd
dekhā tujhe kyā maiñ ne ki itrā ga.iiñ āñkheñ
aa kar tire kūche meñ na kuchh ham se ban aa.ī
jaate hue ik muñh thā ki barsā ga.iiñ āñkheñ
itnā bhī na samjhe ki balā-e-dil-o-dīñ hai
'nāzim' tumheñ kyuuñ us kī pasand aa ga.iiñ āñkheñ
rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen
ashkon ki ye kasrat hai ki tang aa gain aankhen
dil saKHt hi kafir ka par aankhon mein haya hai
sunte hi jafa ka gila sharma gain aankhen
mehrab mein hota nahin maston ka guzara
abru ke tale KHub jagah pa gain aankhen
wo talib-e-didar ke pas aaen magar kya
hairat ka ye aalam hai ki kuba gain aankhen
farhad ne kya dekh ke sar teshe se phoDa
sujha na kuchh is ru se ki tihra gain aankhen
dil de ke raha girya-e-KHuni ka mujhe shaghl
baqi tha jigar so use yun kaha gain aankhen
chaDhte nahin ab meri nazar mein mah-o-KHurshid
dekha tujhe kya main ne ki itra gain aankhen
aa kar tere kuche mein na kuchh hum se ban aai
jate hue ek munh tha ki barsa gain aankhen
itna bhi na samjhe ki bala-e-dil-o-din hai
'nazim' tumhein kyun us ki pasand aa gain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.