kahan se DhunDh ke laun purane KHwab aankhon mein
kahāñ se DhūñDh ke lā.ūñ purāne ḳhvāb āñkhoñ meñ
koī manzar nahīñ Tiktā mirī sairāb āñkhoñ meñ
na nīñdeñ thiiñ na aañsū the na ḳhushiyāñ thiiñ magar tū thā
ki ab tū bhī nahīñ aatā hai in be-ḳhvāb āñkhoñ meñ
kisī bhī aa.ine meñ ab mirā chehra nahīñ dikhtā
mirā chehra nikaltā hai inhīñ betāb āñkhoñ meñ
jise tā'mīr kā Dar hai chalā jaa.e vo bin bole
jo haiñ tayyār sach ko vo raheñge ḳhvāb āñkhoñ meñ
dafa.a kar 'ishq kā charchā kahīñ tū bhī na bah jaa.e
abhī to bāñdh ke rakkheñ haiñ sab sailāb āñkhoñ meñ
kahan se DhunDh ke laun purane KHwab aankhon mein
koi manzar nahin Tikta meri sairab aankhon mein
na ninden thin na aansu the na KHushiyan thin magar tu tha
ki ab tu bhi nahin aata hai in be-KHwab aankhon mein
kisi bhi aaine mein ab mera chehra nahin dikhta
mera chehra nikalta hai inhin betab aankhon mein
jise ta'mir ka Dar hai chala jae wo bin bole
jo hain tayyar sach ko wo rahenge KHwab aankhon mein
dafa kar 'ishq ka charcha kahin tu bhi na bah jae
abhi to bandh ke rakkhen hain sab sailab aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.