dil mein ek taswir chhupi thi aan basi hai aankhon mein
dil meñ ik tasvīr chhupī thī aan basī hai āñkhoñ meñ
shāyad ham ne aaj ġhazal sī baat likhī hai āñkhoñ meñ
jaise ik harījan laḌkī mandir ke darvāze par
shaam diyoñ kī thaal sajā.e jhāñk rahī hai āñkhoñ meñ
is rūmāl ko kaam meñ laao apnī palkeñ saaf karo
mailā mailā chāñd nahīñ hai dhuul jamī hai āñkhoñ meñ
paḌhtā jā ye manzar-nāma zard aziim pahāḌoñ kā
dhuup khilī palkoñ ke uupar barf jamī hai āñkhoñ meñ
maiñ ne ik novel likkhā hai aane vaalī sub.h ke naam
kitnī rātoñ kā jaagā huuñ niiñd bharī hai āñkhoñ meñ
dil mein ek taswir chhupi thi aan basi hai aankhon mein
shayad hum ne aaj ghazal si baat likhi hai aankhon mein
jaise ek harijan laDki mandir ke darwaze par
sham diyon ki thaal sajae jhank rahi hai aankhon mein
is rumal ko kaam mein lao apni palken saf karo
maila maila chand nahin hai dhul jami hai aankhon mein
paDhta ja ye manzar-nama zard azim pahaDon ka
dhup khili palkon ke upar barf jami hai aankhon mein
main ne ek nowel likkha hai aane wali subh ke nam
kitni raaton ka jaga hun nind bhari hai aankhon mein
- Book : Aamad (Pg. 117)
- Author : Bashir Badar
- Publication : M.R. Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.