ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
ai husn-e-lāla-fām! zarā aañkh to milā
ḳhālī paḌe haiñ jaam! zarā aañkh to milā
kahte haiñ aañkh aañkh se milnā hai bandagī
duniyā ke chhoḌ kaam! zarā aañkh to milā
kyā vo na aaj ā.eñge tāroñ ke saath saath
tanhā.iyoñ kī shām! zarā aañkh to milā
ye jaam ye subū ye tasavvur kī chāñdnī
saaqī kahāñ mudām! zarā aañkh to milā
saaqī mujhe bhī chāhiye ik jām-e-ārzū
kitne lageñge daam! zarā aañkh to milā
pāmāl ho na jaa.e sitāroñ kī aabrū
ai mere ḳhush-ḳhirām! zarā aañkh to milā
haiñ rāh-e-kahkashāñ meñ azal se khaḌe hue
'sāġhar' tire ġhulām! zarā aañkh to milā
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
KHali paDe hain jam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhoD kaam! zara aankh to mila
kya wo na aaj aaenge taron ke sath sath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jam ye subu ye tasawwur ki chandni
saqi kahan mudam! zara aankh to mila
saqi mujhe bhi chahiye ek jam-e-arzu
kitne lagenge dam! zara aankh to mila
pamal ho na jae sitaron ki aabru
ai mere KHush-KHiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan mein azal se khaDe hue
'saghar' tere ghulam! zara aankh to mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.