ek zahrili rifaqat ke siwa hai aur kya
ek zahrīlī rifāqat ke sivā hai aur kyā
tere mere biich vahshat ke sivā hai aur kyā
ab na hai vo narm lahja aur na haiñ vo qahqahe
terā milnā ik aziyyat ke sivā hai aur kyā
zom thā mujh ko bhī terī chāhatoñ kā lekin ab
mere chehre par nidāmat ke sivā hai aur kyā
ek zahr-āmez chup hai aur āñkhoñ meñ jalan
tere dil meñ ab kudūrat ke sivā hai aur kyā
zaḳhm jo tū ne diye tujh ko dikhā to duuñ magar
paas tere bhī nasīhat ke sivā hai aur kyā
ek zahrili rifaqat ke siwa hai aur kya
tere mere bich wahshat ke siwa hai aur kya
ab na hai wo narm lahja aur na hain wo qahqahe
tera milna ek aziyyat ke siwa hai aur kya
zom tha mujh ko bhi teri chahaton ka lekin ab
mere chehre par nidamat ke siwa hai aur kya
ek zahr-amez chup hai aur aankhon mein jalan
tere dil mein ab kudurat ke siwa hai aur kya
zaKHm jo tu ne diye tujh ko dikha to dun magar
pas tere bhi nasihat ke siwa hai aur kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.