ek tu, ek aashiqi meri
ek tuu, ek āshiqī merī
bas yahī kuchh hai zindagī merī
dil qanā.at zarā sī kartā to
har mohabbat thī āḳhirī merī
jise tum log ishq kahte ho
us se behtar hai dil-lagī merī
ek dil ke hazār ḳhānoñ meñ
baT ga.ī ek zindagī merī
vasl nuqsān kar gayā merā
mar ga.ī aaj shā.erī merī
ek tu, ek aashiqi meri
bas yahi kuchh hai zindagi meri
dil qanaat zara si karta to
har mohabbat thi aaKHiri meri
jise tum log ishq kahte ho
us se behtar hai dil-lagi meri
ek dil ke hazar KHanon mein
baT gai ek zindagi meri
wasl nuqsan kar gaya mera
mar gai aaj shaeri meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.