ek to teri daulat tha hi dil ye saudai
ek to teri daulat tha hi dil ye saudai
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
ek to tirī daulat thā hī dil ye saudā.ī
tis upar qayāmat hai be-kasī o tanhā.ī
tere ta.iiñ to lāzim thā tauba kā sabab pūchhe
mai-kashī se ai saaqī go ki ham qasam khaa.ī
dil to ech-pechoñ se dām-e-ḳhat ke chhūTā thā
zulf phir na.e sar se sar upar balā laa.ī
jī to be-qarārī se jāñ-ba-lab hai ai nāseh
ko tahammul o tāqat sabr aur shakebā.ī
umr-e-āshiq-o-ma.ashūq sarf-e-nāz-o-hairat hai
husn hai adā-pardāz ishq hai tamāshā.ī
raat us kī mahfil meñ sar se jal ke paañv tak
sham.a kī pighal charbī ustuḳhvāñ nikal aa.ī
hasb-e-hāl 'hātim' hai sher-e-mīrzā-maz.har
us se phir ziyāda kuchh hai ibārat-ārā.ī
dil hamesha mī-ḳhvāhad tauf-e-kū-e-jānāñ rā
haa.e be-par-o-bālī vaa.e nā-tavānā.ī
ek to teri daulat tha hi dil ye saudai
tis upar qayamat hai be-kasi o tanhai
tere tain to lazim tha tauba ka sabab puchhe
mai-kashi se ai saqi go ki hum qasam khai
dil to ech-pechon se dam-e-KHat ke chhuTa tha
zulf phir nae sar se sar upar bala lai
ji to be-qarari se jaan-ba-lab hai ai naseh
ko tahammul o taqat sabr aur shakebai
umr-e-ashiq-o-mashuq sarf-e-naz-o-hairat hai
husn hai ada-pardaz ishq hai tamashai
raat us ki mahfil mein sar se jal ke panw tak
shama ki pighal charbi ustuKHwan nikal aai
hasb-e-haal 'hatim' hai sher-e-mirza-mazhar
us se phir ziyaada kuchh hai ibarat-arai
dil hamesha mi-KHwahad tauf-e-ku-e-jaanan ra
hae be-par-o-baali wae na-tawanai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 362)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.