ek patthar ki dast-e-yar mein hai
ek patthar ki dast-e-yār meñ hai
phuul banñe ke intizār meñ hai
apnī nākāmiyoñ pe āḳhir-e-kār
muskurānā to iḳhtiyār meñ hai
ham sitāroñ kī tarah Duub ga.e
din qayāmat ke intizār meñ hai
apnī tasvīr khīñchtā huuñ maiñ
aur ā.īna intizār meñ hai
kuchh sitāre haiñ aur ham haiñ 'jamīl'
raushnī jin se rahguzār meñ hai
ek patthar ki dast-e-yar mein hai
phul banne ke intizar mein hai
apni nakaamiyon pe aaKHir-e-kar
muskurana to iKHtiyar mein hai
hum sitaron ki tarah Dub gae
din qayamat ke intizar mein hai
apni taswir khinchta hun main
aur aaina intizar mein hai
kuchh sitare hain aur hum hain 'jamil'
raushni jin se rahguzar mein hai
- Book : chhaar khvaab (Pg. 103)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.