ek faqir chala jata hai pakki saDak par ganw ki
ek faqīr chalā jaatā hai pakkī saḌak par gaañv kī
aage raah kā sannāTā hai pīchhe guuñj khaḌā.ūñ kī
āñkhoñ āñkhoñ hariyālī ke ḳhvāb dikhā.ī dene lage
ham aise ka.ī jāgne vaale niiñd hue sahrāoñ kī
apne 'aks ko chhūne kī ḳhvāhish meñ parinda Duub gayā
phir kabhī lauT kar aa.ī nahīñ dariyā par ghaḌī du'āoñ kī
Daar se bichhḌā huā kabūtar shāḳh se TuuTā huā gulāb
aadhā dhuup kā sarmāya hai aadhī daulat chhāñv kī
us raste par pīchhe se itnī āvāzeñ aa.iiñ 'jamāl'
ek jagah to ghuum ke rah ga.ī eḌī sīdhe paañv kī
ek faqir chala jata hai pakki saDak par ganw ki
aage rah ka sannaTa hai pichhe gunj khaDaun ki
aankhon aankhon hariyali ke KHwab dikhai dene lage
hum aise kai jagne wale nind hue sahraon ki
apne 'aks ko chhune ki KHwahish mein parinda Dub gaya
phir kabhi lauT kar aai nahin dariya par ghaDi du'aon ki
Dar se bichhDa hua kabutar shaKH se TuTa hua gulab
aadha dhup ka sarmaya hai aadhi daulat chhanw ki
us raste par pichhe se itni aawazen aain 'jamal'
ek jagah to ghum ke rah gai eDi sidhe panw ki
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 24)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.