iid kā din huā kartī thī har ik raat mujhe
haa.e vo vaqt ki raas aatī thī barsāt mujhe
kuchh bhī ho tauba mohabbat se na hogī vaa.iz
jān-o-dil donoñ se pyārī hai mirī baat mujhe
jagmagātī tirī āñkhoñ kī qasam furqat meñ
baḌe dukh detī hai ye tāroñ bharī raat mujhe
dil ne un ko bhī kiyā chashm-e-muravvat ke supurd
aap se the bhī jo kuchh shikva shikāyāt mujhe
dukh bharā huuñ mire nāloñ se hazar kar nāseh
burī ma.alūm na ho jaa.e koī baat mujhe
jitne din ziist ke baaqī haiñ nichhāvar kar duuñ
phir jo mil jaa.e javānī kī koī raat mujhe
abr-e-bārāñ ke maze lūTūñ maiñ kyūñkar 'manzar'
dam bhī lene de mirī āñkhoñ kī barsāt mujhe
id ka din hua karti thi har ek raat mujhe
hae wo waqt ki ras aati thi barsat mujhe
kuchh bhi ho tauba mohabbat se na hogi waiz
jaan-o-dil donon se pyari hai meri baat mujhe
jagmagati teri aankhon ki qasam furqat mein
baDe dukh deti hai ye taron bhari raat mujhe
dil ne un ko bhi kiya chashm-e-murawwat ke supurd
aap se the bhi jo kuchh shikwa shikayat mujhe
dukh bhara hun mere nalon se hazar kar naseh
buri malum na ho jae koi baat mujhe
jitne din zist ke baqi hain nichhawar kar dun
phir jo mil jae jawani ki koi raat mujhe
abr-e-baran ke maze luTun main kyunkar 'manzar'
dam bhi lene de meri aankhon ki barsat mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.