id aai aaj aish ka saman tamam hai
iid aa.ī aaj aish kā sāmāñ tamām hai
saaqī hai mai hai abr hai miinā hai jaam hai
ġhāfil nikāl hasrat-e-dil sochtā hai kyā
yaañ to kisī kā kuuch kisī kā maqām hai
ham to kahe hī jā.eñge ye mājrā-e-dil
tum muskurā ke dekh lo qissa tamām hai
ai 'ranj' mai-kade ko chalo aur piyo sharāb
sab kahte haiñ ki iid kā roza harām hai
id aai aaj aish ka saman tamam hai
saqi hai mai hai abr hai mina hai jam hai
ghafil nikal hasrat-e-dil sochta hai kya
yan to kisi ka kuch kisi ka maqam hai
hum to kahe hi jaenge ye majra-e-dil
tum muskura ke dekh lo qissa tamam hai
ai 'ranj' mai-kade ko chalo aur piyo sharab
sab kahte hain ki id ka roza haram hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.