dil mein surur-e-eid-o-tamanna-e-jam hai
dil meñ surūr-e-eid-o-tamannā-e-jām hai
aisī namāz ko bhī hamārā salām hai
mastī meñ aaj toḌeñge kuuze sharāb ke
tauba ke saath ruḳhsat-e-māh-e-tamām hai
dekho tum apne pahlū-e-dil meñ jagah na do
kahte haiñ jis ko 'rañj' vo merā hī naam hai
dil mein surur-e-eid-o-tamanna-e-jam hai
aisi namaz ko bhi hamara salam hai
masti mein aaj toDenge kuze sharab ke
tauba ke sath ruKHsat-e-mah-e-tamam hai
dekho tum apne pahlu-e-dil mein jagah na do
kahte hain jis ko 'ranj' wo mera hi nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.