ai chand nazar aa ki meri eid nazar ho
ai chāñd nazar aa ki mirī eid nazar ho
ai sub.h-e-munīñ aa ki shab-e-ġham kī sahar ho
ye kyoñ ki har ik kār-e-numāyāñ kī mujhe daad
ye kyā ki mirī bhuul kisī aur ke sar ho
ḳhush-rañg haiñ murġhān-e-chaman laal hai laala
ḳhadsha hai na un meñ bhī mirā ḳhūn-e-jigar ho
terī hī banā.ī huī duniyā meñ muqayyad
terī hī razā ho to ye qatra bhī guhar ho
har phuul pe qadġhan ki tirī shakl pe nikle
har zaḳhm pe lāzim ki tirā dast-e-nigar ho
ai chand nazar aa ki meri eid nazar ho
ai subh-e-munin aa ki shab-e-gham ki sahar ho
ye kyon ki har ek kar-e-numayan ki mujhe dad
ye kya ki meri bhul kisi aur ke sar ho
KHush-rang hain murghan-e-chaman lal hai lala
KHadsha hai na un mein bhi mera KHun-e-jigar ho
teri hi banai hui duniya mein muqayyad
teri hi raza ho to ye qatra bhi guhar ho
har phul pe qadghan ki teri shakl pe nikle
har zaKHm pe lazim ki tera dast-e-nigar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.