ab aa bhi jao ki phir ehtimam-e-id karen
Interesting Fact
(November 1981)
ab aa bhī jaao ki phir ehtimām-e-īd kareñ
nashāt-e-dīd se tashvīq-e-dil mazīd kareñ
shikast-e-tauba se vaa.iz ke dil ko ḳhuun kareñ
faroġh-e-bāda se zāhid ko nā-umīd kareñ
bayā ki qā.ida-e-ās.māñ badal Dāleñ
ba-naqd-e-bāda dil-o-jān-e-nau ḳharīd kareñ
ba-nām-e-sāqī-e-gulgūñ lābān-e-sīmīñ-sāq
vafūr-e-bāda se zauq-e-talab shadīd kareñ
binā-e-kuhna ke āsār munhadim kar ke
jahān-e-tāza ba-dast-e-ḳhud āfrīd kareñ
darūn-e-some.a har muqtadī ko jul de kar
ḳhud apne pīr-e-ḳharābāt kā murīd kareñ
haTā ke phir ruḳh-e-zebā se ġhairiyat kā hijāb
har ek daġhdaġha-e-dil saqar-rasīd kareñ
junūn-e-tishna-labī ko do-ātisha kar ke
aqīq-e-lab se mai-e-arġhavāñ kashīd kareñ
ab aa bhi jao ki phir ehtimam-e-id karen
nashat-e-did se tashwiq-e-dil mazid karen
shikast-e-tauba se waiz ke dil ko KHun karen
farogh-e-baada se zahid ko na-umid karen
baya ki qaida-e-asman badal Dalen
ba-naqd-e-baada dil-o-jaan-e-nau KHarid karen
ba-nam-e-saqi-e-gulgun laban-e-simin-saq
wafur-e-baada se zauq-e-talab shadid karen
bina-e-kuhna ke aasar munhadim kar ke
jahan-e-taza ba-dast-e-KHud aafrid karen
darun-e-somea har muqtadi ko jul de kar
KHud apne pir-e-KHarabaat ka murid karen
haTa ke phir ruKH-e-zeba se ghairiyat ka hijab
har ek daghdagha-e-dil saqar-rasid karen
junun-e-tishna-labi ko do-atisha kar ke
aqiq-e-lab se mai-e-arghawan kashid karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.