nigahon mein chamak dil mein KHushi mahsus karta hun
nigāhoñ meñ chamak dil meñ ḳhushī mahsūs kartā huuñ
ki tere bas meñ apnī zindagī mahsūs kartā huuñ
thakā detī haiñ jab kaunain kī pahnā.iyāñ mujh ko
tire dar par pahuñch kar tāzgī mahsūs kartā huuñ
ba-majbūrī muqaddar ke ufuq se jhāñkne vaale
tirī āñkhoñ meñ ik sharmindagī mahsūs kartā huuñ
javānī ko sazā-e-lazzat-e-ehsās de denā
maiñ is had par ḳhudā ko aadmī mahsūs kartā huuñ
shab-e-āḳhir falak par TimTimā kar Dūbte taare
maiñ apne saath terā dard bhī mahsūs kartā huuñ
nigahon mein chamak dil mein KHushi mahsus karta hun
ki tere bas mein apni zindagi mahsus karta hun
thaka deti hain jab kaunain ki pahnaiyan mujh ko
tere dar par pahunch kar tazgi mahsus karta hun
ba-majburi muqaddar ke ufuq se jhankne wale
teri aankhon mein ek sharmindagi mahsus karta hun
jawani ko saza-e-lazzat-e-ehsas de dena
main is had par KHuda ko aadmi mahsus karta hun
shab-e-aKHir falak par TimTima kar Dubte tare
main apne sath tera dard bhi mahsus karta hun
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 50)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.