dur hote hue qadmon ki KHabar jati hai
duur hote hue qadmoñ kī ḳhabar jaatī hai
ḳhushk patte ko liye gard-e-safar jaatī hai
paas aate hue lamhāt pighal jaate haiñ
ab to har chiiz dabe paañv guzar jaatī hai
raat aa jaa.e to phir tujh ko pukārūñ yā-rab
merī āvāz ujāle meñ bikhar jaatī hai
dosto tum se guzārish hai yahāñ mat aao
is baḌe shahr meñ tanhā.ī bhī mar jaatī hai
dur hote hue qadmon ki KHabar jati hai
KHushk patte ko liye gard-e-safar jati hai
pas aate hue lamhat pighal jate hain
ab to har chiz dabe panw guzar jati hai
raat aa jae to phir tujh ko pukarun ya-rab
meri aawaz ujale mein bikhar jati hai
dosto tum se guzarish hai yahan mat aao
is baDe shahr mein tanhai bhi mar jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.