dushman ki taraf ho ke nikalne nahin dete
dushman kī taraf ho ke nikalne nahīñ dete
ham ko vo burī raah bhī chalne nahīñ dete
āñkheñ hameñ talvoñ se vo malne nahīñ dete
ham chuTkiyoñ se dil ko masalne nahīñ dete
kahte haiñ mai-e-nāb hasīnoñ kā hai joban
ham bazm meñ apnī use Dhalne nahīñ dete
vo kyā lahd-e-ġhair ko pāmāl kareñge
chalte hue fiqre bhī to chalne nahīñ dete
jaltā huuñ bachāte haiñ use soz-e-darūñ se
dushman ko mirī aag meñ jalne nahīñ dete
nāzuk hai mire naḳhl-e-tamannā kī har ik shāḳh
is ḳhauf se vo phūlne-phalne nahīñ dete
kab bose liye un ke jo bal khaa.e haiñ gesū
tum gāloñ ko kyuuñ zahr ugalne nahīñ dete
aa.ī hai ye kahtī huī kis kī shab-e-furqat
ham rañg zamāne ko badalne nahīñ dete
Dar hai na dupaTTa kahīñ siine se sarak jaa.e
pañkhā bhī hameñ paas se jhalne nahīñ dete
kyuuñ ham ko jalāte ho dam-e-vasl ye kyā hai
kyuuñ phūñkte ho sham.a ko jalne nahīñ dete
hai jaan mirī kashmakash-e-naz.a meñ din-rāt
armān to kyā dam bhī nikalne nahīñ dete
khulne nahīñ dete kabhī kam-zarfī-e-vā.iz
ham riñd pilā kar bhī ubalne nahīñ dete
jaatā huuñ to aatī hai yahī tuur se āvāz
ham dekhne vāloñ ko sambhalne nahīñ dete
kyā kaam 'riyāz' aane ko sau baar bahār aa.e
ham ko ye hasīñ phūlne-phalne nahīñ dete
dushman ki taraf ho ke nikalne nahin dete
hum ko wo buri rah bhi chalne nahin dete
aankhen hamein talwon se wo malne nahin dete
hum chuTkiyon se dil ko masalne nahin dete
kahte hain mai-e-nab hasinon ka hai joban
hum bazm mein apni use Dhalne nahin dete
wo kya lahd-e-ghair ko pamal karenge
chalte hue fiqre bhi to chalne nahin dete
jalta hun bachate hain use soz-e-darun se
dushman ko meri aag mein jalne nahin dete
nazuk hai mere naKHl-e-tamanna ki har ek shaKH
is KHauf se wo phulne-phalne nahin dete
kab bose liye un ke jo bal khae hain gesu
tum galon ko kyun zahr ugalne nahin dete
aai hai ye kahti hui kis ki shab-e-furqat
hum rang zamane ko badalne nahin dete
Dar hai na dupaTTa kahin sine se sarak jae
pankha bhi hamein pas se jhalne nahin dete
kyun hum ko jalate ho dam-e-wasl ye kya hai
kyun phunkte ho shama ko jalne nahin dete
hai jaan meri kashmakash-e-naza mein din-raat
arman to kya dam bhi nikalne nahin dete
khulne nahin dete kabhi kam-zarfi-e-waiz
hum rind pila kar bhi ubalne nahin dete
jata hun to aati hai yahi tur se aawaz
hum dekhne walon ko sambhalne nahin dete
kya kaam 'riyaz' aane ko sau bar bahaar aae
hum ko ye hasin phulne-phalne nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.