duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte
duniyā-e-tasavvur ham ābād nahīñ karte
yaad aate ho tum ḳhud hī ham yaad nahīñ karte
vo jaur-e-musalsal se baaz aa to ga.e lekin
be-dād ye kyā kam hai be-dād nahīñ karte
sāhil ke tamāshā.ī har Dūbne vaale par
afsos to karte haiñ imdād nahīñ karte
kuchh dard kī shiddat hai kuchh pās-e-mohabbat hai
ham aah to karte haiñ fariyād nahīñ karte
sahrā se bahāroñ ko le aa.e chaman vaale
aur apne gulistāñ ko ābād nahīñ karte
duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte
yaad aate ho tum KHud hi hum yaad nahin karte
wo jaur-e-musalsal se baz aa to gae lekin
be-dad ye kya kam hai be-dad nahin karte
sahil ke tamashai har Dubne wale par
afsos to karte hain imdad nahin karte
kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai
hum aah to karte hain fariyaad nahin karte
sahra se bahaaron ko le aae chaman wale
aur apne gulistan ko aabaad nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.