dukh de ya ruswai de
dukh de yā rusvā.ī de
ġham ko mire gahrā.ī de
apne lams ko zinda kar
hāthoñ ko bīnā.ī de
mujh se koī aisī baat
bin bole jo sunā.ī de
jitnā aañkh se kam dekhūñ
utnī duur dikhā.ī de
is shiddat se zāhir ho
andhoñ ko bhī sujhā.ī de
ufuq ufuq ghar āñgan hai
āñgan paar rsaa.ī de
dukh de ya ruswai de
gham ko mere gahrai de
apne lams ko zinda kar
hathon ko binai de
mujh se koi aisi baat
bin bole jo sunai de
jitna aankh se kam dekhun
utni dur dikhai de
is shiddat se zahir ho
andhon ko bhi sujhai de
ufuq ufuq ghar aangan hai
aangan par rsai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.