tujhse mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tujh se mil kar to ye lagtā hai ki ai ajnabī dost
tū mirī pahlī mohabbat thī mirī āḳhirī dost
log har baat kā afsāna banā dete haiñ
ye to duniyā hai mirī jaañ ka.ī dushman ka.ī dost
tere qāmat se bhī lipTī hai amar-bel koī
merī chāhat ko bhī duniyā kī nazar khā ga.ī dost
yaad aa.ī hai to phir TuuT ke yaad aa.ī hai
koī guzrī huī manzil koī bhūlī huī dost
ab bhī aa.e ho to ehsān tumhārā lekin
vo qayāmat jo guzarnī thī guzar bhī ga.ī dost
tere lahje kī thakan meñ tirā dil shāmil hai
aisā lagtā hai judā.ī kī ghaḌī aa ga.ī dost
bārish-e-sañg kā mausam hai mire shahr meñ to
tū ye shīshe sā badan le ke kahāñ aa ga.ī dost
maiñ use ahd-shikan kaise samajh luuñ jis ne
āḳhirī ḳhat meñ ye likkhā thā faqat aap kī dost
tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tu meri pahli mohabbat thi meri aaKHiri dost
log har baat ka afsana bana dete hain
ye to duniya hai meri jaan kai dushman kai dost
tere qamat se bhi lipTi hai amar-bel koi
meri chahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost
yaad aai hai to phir TuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
ab bhi aae ho to ehsan tumhaara lekin
wo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost
tere lahje ki thakan mein tera dil shamil hai
aisa lagta hai judai ki ghaDi aa gai dost
barish-e-sang ka mausam hai mere shahr mein to
tu ye shishe sa badan le ke kahan aa gai dost
main use ahd-shikan kaise samajh lun jis ne
aaKHiri KHat mein ye likkha tha faqat aap ki dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.