baat jab doston ki aati hai
baat jab dostoñ kī aatī hai
dostī kaañp kaañp jaatī hai
mujh se ai dost phir ḳhafā ho jā
ishq ko niiñd aa.ī jaatī hai
ab qayāmat se kyā Dare koī
ab qayāmat to roz aatī hai
bhāgtā huuñ maiñ zindagī se 'ḳhumār'
aur ye nāgin Dase hī jaatī hai
baat jab doston ki aati hai
dosti kanp kanp jati hai
mujh se ai dost phir KHafa ho ja
ishq ko nind aai jati hai
ab qayamat se kya Dare koi
ab qayamat to roz aati hai
bhagta hun main zindagi se 'KHumar'
aur ye nagin Dase hi jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.