din mein pariyan kyun aati hain
din meñ pariyāñ kyuuñ aatī haiñ
aisī ghaḌiyāñ kyuuñ aatī haiñ
apnā ghar aane se pahle
itnī galiyāñ kyuuñ aatī haiñ
bāhar kis kā Dar lagtā hai
ghar meñ chiḌiyāñ kyuuñ aatī haiñ
din kyuuñ nañge ho jaate haiñ
rāteñ uryāñ kyuuñ aatī haiñ
sher meñ ulTī sīdhī bāteñ
bol mirī jaañ kyuuñ aatī haiñ
'alvī' qabroñ tak jaane meñ
bhūl-bhulayyāñ kyuuñ aatī haiñ
din mein pariyan kyun aati hain
aisi ghaDiyan kyun aati hain
apna ghar aane se pahle
itni galiyan kyun aati hain
bahar kis ka Dar lagta hai
ghar mein chiDiyan kyun aati hain
din kyun nange ho jate hain
raaten uryan kyun aati hain
sher mein ulTi sidhi baaten
bol meri jaan kyun aati hain
'alwi' qabron tak jaane mein
bhul-bhulayyan kyun aati hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 62)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.