din mein is tarah mere dil mein samaya suraj
din meñ is tarah mire dil meñ samāyā sūraj
raat āñkhoñ ke ufuq par ubhar aayā sūraj
apnī to raat bhī jalte hī kaTī din kī tarah
raat ko so to gayā din kā satāyā sūraj
sub.h niklā kisī dulhan kī damak ruḳh pe liye
shaam Duubā kisī beva sā bujhāyā sūraj
raat ko maiñ mirā saayā the ikaTThe donoñ
le gayā chhīn ke din ko mirā saayā sūraj
din guzartā na thā kam-baḳht kā tanhā jalte
vādī-e-shab se mujhe DhūñD ke laayā sūraj
tū ne jis din se mujhe sauñp diyā zulmat ko
tab se din meñ bhī na mujh ko nazar aayā sūraj
āsmāñ ek sulagtā huā sahrā hai jahāñ
DhūñDhtā phirtā hai ḳhud apnā hī saayā sūraj
din ko jis ne hameñ nezoñ pe chaḌhā.e rakkhā
shab ko ham ne vahī palkoñ pe sulāyā sūraj
din mein is tarah mere dil mein samaya suraj
raat aankhon ke ufuq par ubhar aaya suraj
apni to raat bhi jalte hi kaTi din ki tarah
raat ko so to gaya din ka sataya suraj
subh nikla kisi dulhan ki damak ruKH pe liye
sham Duba kisi bewa sa bujhaya suraj
raat ko main mera saya the ikaTThe donon
le gaya chhin ke din ko mera saya suraj
din guzarta na tha kam-baKHt ka tanha jalte
wadi-e-shab se mujhe DhunD ke laya suraj
tu ne jis din se mujhe saunp diya zulmat ko
tab se din mein bhi na mujh ko nazar aaya suraj
aasman ek sulagta hua sahra hai jahan
DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj
din ko jis ne hamein nezon pe chaDhae rakkha
shab ko hum ne wahi palkon pe sulaya suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.