din ek ke baad ek guzarte hue bhi dekh
din ik ke baa'd ek guzarte hue bhī dekh
ik din tū apne aap ko marte hue bhī dekh
har vaqt khilte phuul kī jānib takā na kar
murjhā ke pattiyoñ ko bikharte hue bhī dekh
haañ dekh barf girtī huī baal baal par
tapte hue ḳhayāl ThiThurte hue bhī dekh
apnoñ meñ rah ke kis liye sahmā huā hai tū
aa mujh ko dushmanoñ se na Darte hue bhī dekh
paivand bādaloñ ke lage dekh jā-ba-jā
bagloñ ko āsmān katarte hue bhī dekh
hairān mat ho tairtī machhlī ko dekh kar
paanī meñ raushnī ko utarte hue bhī dekh
us ko ḳhabar nahīñ hai abhī apne husn kī
ā.īna de ke bante-e-sañvarte hue bhī dekh
dekhā na hogā tū ne magar intizār meñ
chalte hue samay ko Thaharte hue bhī dekh
tārīf sun ke dost se 'alvī' tū ḳhush na ho
us ko tirī burā.iyāñ karte hue bhī dekh
din ek ke ba'd ek guzarte hue bhi dekh
ek din tu apne aap ko marte hue bhi dekh
har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar
murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh
han dekh barf girti hui baal baal par
tapte hue KHayal ThiThurte hue bhi dekh
apnon mein rah ke kis liye sahma hua hai tu
aa mujh ko dushmanon se na Darte hue bhi dekh
paiwand baadalon ke lage dekh ja-ba-ja
baglon ko aasman katarte hue bhi dekh
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar
pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh
us ko KHabar nahin hai abhi apne husn ki
aaina de ke bante-e-sanwarte hue bhi dekh
dekha na hoga tu ne magar intizar mein
chalte hue samay ko Thaharte hue bhi dekh
tarif sun ke dost se 'alwi' tu KHush na ho
us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 43)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.