dil tha ki KHush-KHayal tujhe dekh kar hua
dil thā ki ḳhush-ḳhayāl tujhe dekh kar huā
ye shahr be-misāl tujhe dekh kar huā
apne ḳhilāf shahr ke andhe hujūm meñ
dil ko bahut malāl tujhe dekh kar huā
tūl-e-shab-e-firāq tirī ḳhair ho ki dil
āmāda-e-visāl tujhe dekh kar huā
ye ham hī jānte haiñ judā.ī ke moḌ par
is dil kā jo bhī haal tujhe dekh kar huā
aa.ī na thī kabhī mire lafzoñ meñ raushnī
aur mujh se ye kamāl tujhe dekh kar huā
bichhḌe to jaise zehn muattal sā ho gayā
shahr-e-suḳhan bahāl tujhe dekh kar huā
phir log aa ga.e mirā maazī kuredne
phir mujh se ik savāl tujhe dekh kar huā
dil tha ki KHush-KHayal tujhe dekh kar hua
ye shahr be-misal tujhe dekh kar hua
apne KHilaf shahr ke andhe hujum mein
dil ko bahut malal tujhe dekh kar hua
tul-e-shab-e-firaq teri KHair ho ki dil
aamada-e-visal tujhe dekh kar hua
ye hum hi jaante hain judai ke moD par
is dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua
aai na thi kabhi mere lafzon mein raushni
aur mujh se ye kamal tujhe dekh kar hua
bichhDe to jaise zehn muattal sa ho gaya
shahr-e-suKHan bahaal tujhe dekh kar hua
phir log aa gae mera mazi kuredne
phir mujh se ek sawal tujhe dekh kar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.