har taraf imbisat hai ai dil
har taraf imbisāt hai ai dil
aur tire ghar meñ raat hai ai dil
ishq in zālimoñ kī duniyā meñ
kitnī mazlūm zaat hai ai dil
merī hālat kā pūchhnā hī kyā
sab tirā iltifāt hai ai dil
aur bedār chal ki ye duniyā
shātiroñ kī bisāt hai ai dil
sirf us ne nahīñ diyā mujhe soz
is meñ terā bhī haat hai ai dil
mundamil ho na jaa.e zaḳhm-e-darūñ
ye mirī kā.enāt hai ai dil
husn kā ek vaar sah na sakā
Duub marne kī baat hai ai dil
har taraf imbisat hai ai dil
aur tere ghar mein raat hai ai dil
ishq in zalimon ki duniya mein
kitni mazlum zat hai ai dil
meri haalat ka puchhna hi kya
sab tera iltifat hai ai dil
aur bedar chal ki ye duniya
shatiron ki bisat hai ai dil
sirf us ne nahin diya mujhe soz
is mein tera bhi hat hai ai dil
mundamil ho na jae zaKHm-e-darun
ye meri kaenat hai ai dil
husn ka ek war sah na saka
Dub marne ki baat hai ai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.