dil na mana mana ke dekh liya
dil na maanā manā ke dekh liyā
laakh samjhā-bujhā ke dekh liyā
vo jo muusā ne tuur par dekhā
ham ne parda haTā ke dekh liyā
log kahte haiñ dil lagānā jise
rog vo bhī lagā ke dekh liyā
bevafā.ī hai terī rag rag meñ
aazmā aazmā ke dekh liyā
zaḳhm dil kā hai lā-davā yaaro
chārāgar ko dikhā ke dekh liyā
un se nibhtā nahīñ koī rishta
dost dushman banā ke dekh liyā
un kā nazreñ churā ke dekhnā bhī
un se nazreñ bachā ke dekh liyā
dil na mana mana ke dekh liya
lakh samjha-bujha ke dekh liya
wo jo musa ne tur par dekha
hum ne parda haTa ke dekh liya
log kahte hain dil lagana jise
rog wo bhi laga ke dekh liya
bewafai hai teri rag rag mein
aazma aazma ke dekh liya
zaKHm dil ka hai la-dawa yaro
chaaragar ko dikha ke dekh liya
un se nibhta nahin koi rishta
dost dushman bana ke dekh liya
un ka nazren chura ke dekhna bhi
un se nazren bacha ke dekh liya
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-volume-3
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.