dil mein jo baat khaTakti hai dahan tak pahunche
dil mein jo baat khaTakti hai dahan tak pahunche
Kamal Ahmad Siddiqi
MORE BYKamal Ahmad Siddiqi
dil meñ jo baat khaTaktī hai dahan tak pahuñche
ḳhāmushī marhala-e-arz-e-suḳhan tak pahuñche
mahram-e-husn-e-bahārāñ to nahīñ ho saktī
vo nazar sirf jo gul-hā-e-chaman tak pahuñche
zindagī naam isī mauj-e-mai-e-nāb kā hai
mai-kade se jo uThe dār-o-rasan tak pahuñche
gulsitānoñ kā ijāra nahīñ fasl-e-gul par
fasl-e-gul vo hai jo har dasht-o-daman tak pahuñche
ahd ham ne bhī kiyā thā na mileñge us se
bār-hā ham bhī usī ahd-shikan tak pahuñche
baat kartā hai ba-zāhir baḌī saada sī 'kamāl'
jo suḳhan-var haiñ vahī us ke suḳhan tak pahuñche
dil mein jo baat khaTakti hai dahan tak pahunche
KHamushi marhala-e-arz-e-suKHan tak pahunche
mahram-e-husn-e-bahaaran to nahin ho sakti
wo nazar sirf jo gul-ha-e-chaman tak pahunche
zindagi nam isi mauj-e-mai-e-nab ka hai
mai-kade se jo uThe dar-o-rasan tak pahunche
gulsitanon ka ijara nahin fasl-e-gul par
fasl-e-gul wo hai jo har dasht-o-daman tak pahunche
ahd hum ne bhi kiya tha na milenge us se
bar-ha hum bhi usi ahd-shikan tak pahunche
baat karta hai ba-zahir baDi sada si 'kamal'
jo suKHan-war hain wahi us ke suKHan tak pahunche
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 297)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.