dil markaz-e-hijab banaya na jaega
dil markaz-e-hijāb banāyā na jā.egā
un se bhī rāz-e-ishq chhupāyā na jā.egā
sar ko kabhī qadam pe jhukāyā na jā.egā
un ke nuqūsh-e-pā ko miTāyā na jā.egā
be-vaj.h intizār dikhāne se fā.eda
kah dījiye ki sāmne aayā na jā.egā
āñkhoñ meñ ashk qalb pareshāñ nazar udaas
is tarah un ko chhoḌ ke jaayā na jā.egā
vo ḳhud kaheñ to sharh-e-mohabbat bayāñ karūñ
naġhma baġhair saaz sunāyā na jā.egā
behtar yahī hai zikr-e-mohabbat na chheḌiye
naqsha bigaḌ gayā to banāyā na jā.egā
dil kī taraf 'shakīl' tavajjoh zarūr ho
ye ghar ujaḌ gayā to basāyā na jā.egā
dil markaz-e-hijab banaya na jaega
un se bhi raaz-e-ishq chhupaya na jaega
sar ko kabhi qadam pe jhukaya na jaega
un ke nuqush-e-pa ko miTaya na jaega
be-wajh intizar dikhane se faeda
kah dijiye ki samne aaya na jaega
aankhon mein ashk qalb pareshan nazar udas
is tarah un ko chhoD ke jaya na jaega
wo KHud kahen to sharh-e-mohabbat bayan karun
naghma baghair saz sunaya na jaega
behtar yahi hai zikr-e-mohabbat na chheDiye
naqsha bigaD gaya to banaya na jaega
dil ki taraf 'shakil' tawajjoh zarur ho
ye ghar ujaD gaya to basaya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.