goriyon kaliyon ne mar diya
goriyoñ kāliyoñ ne maar diyā
jāmunoñ vāliyoñ ne maar diyā
añg haiñ yā rikābiyāñ dhan kī
mohnī thāliyoñ ne maar diyā
gungunāte hasīn kānoñ kī
Doltī bāliyoñ ne maar diyā
uude uude sahāb se āñchal
rañg kī jāliyoñ ne maar diyā
zulf kī nik.hatoñ ne jaañ le lī
hoñT kī lāliyoñ ne maar diyā
uff vo pyāse mo.azzezīn jinheñ
ras-bharī gāliyoñ ne maar diyā
jhūmtī Dāliyoñ se jism 'adam'
jhūmtī Dāliyoñ ne maar diyā
goriyon kaliyon ne mar diya
jamunon waliyon ne mar diya
ang hain ya rikabiyan dhan ki
mohni thaaliyon ne mar diya
gungunate hasin kanon ki
Dolti baaliyon ne mar diya
ude ude sahab se aanchal
rang ki jaliyon ne mar diya
zulf ki nikhaton ne jaan le li
honT ki laliyon ne mar diya
uff wo pyase moazzezin jinhen
ras-bhari galiyon ne mar diya
jhumti Daliyon se jism 'adam'
jhumti Daliyon ne mar diya
- Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 266)
- Author : Khwaja Mohammad Zakariya
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.