dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle
dil ko bhī ġham kā salīqa na thā pahle pahle
us ko bhī bhūlnā achchhā lagā pahle pahle
dil thā shab-zād use kis kī rifāqat miltī
ḳhvāb tā'bīr se chhuptā rahā pahle pahle
pahle pahle vahī andāz thā dariyā jaisā
paas aa aa ke palaTtā rahā pahle pahle
aañkh ā.īnoñ kī hairat nahīñ jaatī ab tak
hijr kā ghaav bhī us ne diyā pahle pahle
khel karne ko bahut the dil-e-ḳhvāhish-dīda
kyuuñ havā dekh jalāyā diyā pahle pahle
umr-e-ā.inda ke ḳhvāboñ ko pyāsā rakkhā
fāsla paañv pakaḌtā rahā pahle pahle
nāḳhun-e-be-ḳhabarī zaḳhm banātā hī rahā
kū-e-vahshat meñ to rasta na thā pahle pahle
ab to us shaḳhs kā paikar bhī gul-e-ḳhvāb nahīñ
jo kabhī mujh meñ thā mujh jaisā thā pahle pahle
ab vo pyāsā hai to har buuñd bhī pūchhe nisbat
vo jo dariyāoñ pe hañstā rahā pahle pahle
vo mulāqāt kā mausam nahīñ aayā ab ke
jo sar-e-ḳhvāb sañvartā rahā pahle pahle
ġham kā dariyā mirī āñkhoñ meñ simaT kar pūchhe
kaun ro ro ke bichhaḌtā rahā pahle pahle
ab jo āñkheñ huiiñ sahrā to khulā har manzar
dil bhī vahshat ko tarastā rahā pahle pahle
maiñ thī dīvār to ab kis kā hai saaya tujh par
aisā sahrā-zada chehrā na thā pahle pahle
dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle
us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle
dil tha shab-zad use kis ki rifaqat milti
KHwab ta'bir se chhupta raha pahle pahle
pahle pahle wahi andaz tha dariya jaisa
pas aa aa ke palaTta raha pahle pahle
aankh aainon ki hairat nahin jati ab tak
hijr ka ghaw bhi us ne diya pahle pahle
khel karne ko bahut the dil-e-KHwahish-dida
kyun hawa dekh jalaya diya pahle pahle
umr-e-ainda ke KHwabon ko pyasa rakkha
fasla panw pakaDta raha pahle pahle
naKHun-e-be-KHabari zaKHm banata hi raha
ku-e-wahshat mein to rasta na tha pahle pahle
ab to us shaKHs ka paikar bhi gul-e-KHwab nahin
jo kabhi mujh mein tha mujh jaisa tha pahle pahle
ab wo pyasa hai to har bund bhi puchhe nisbat
wo jo dariyaon pe hansta raha pahle pahle
wo mulaqat ka mausam nahin aaya ab ke
jo sar-e-KHwab sanwarta raha pahle pahle
gham ka dariya meri aankhon mein simaT kar puchhe
kaun ro ro ke bichhaDta raha pahle pahle
ab jo aankhen huin sahra to khula har manzar
dil bhi wahshat ko tarasta raha pahle pahle
main thi diwar to ab kis ka hai saya tujh par
aisa sahra-zada chehra na tha pahle pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.