Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya

Athar Nafees

dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya

Athar Nafees

MORE BYAthar Nafees

    dil masarrateñ na.ī jaañ malāl hai nayā

    merī ġhazal meñ aaj phir ek savāl hai nayā

    ab jo khile haiñ dil meñ phuul un bahār hai na.ī

    ab jo lagī hai dil meñ aag us jalāl hai nayā

    us ke liye bhī ġham-za-e-nāz-o-adā vaqt hai

    apne liye bhī mausam-e-hijr-o-visāl hai nayā

    us meñ bhī ḳhud-numā.ī ke rañg bahut haiñ in dinoñ

    apne liye bhī arsa-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl hai nayā

    jaag uThā hai ik chaman merī hudūd-e-zāt meñ

    us ke qarīb kahīñ dasht-e-malāl hai nayā

    ruuh meñ jal uThe haiñ aaj lazzat-e-qurb ke charāġh

    soz-o-gudāz-e-hijr bhī shāmil-e-hāl hai nayā

    jhuum uThe haiñ barg-o-bār phuul khile haiñ be-shumār

    ai merī rūh-e-be-qarār terā to haal hai nayā

    us ne mirī nigāh ke saare suḳhan samajh liye

    phir bhī mirī nigāh meñ ek savāl hai nayā

    dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya

    meri ghazal mein aaj phir ek sawal hai naya

    ab jo khile hain dil mein phul un ki bahaar hai nai

    ab jo lagi hai dil mein aag us ka jalal hai naya

    us ke liye bhi gham-za-e-naz-o-ada ka waqt hai

    apne liye bhi mausam-e-hijr-o-visal hai naya

    us mein bhi KHud-numai ke rang bahut hain in dinon

    apne liye bhi arsa-e-KHwab-o-KHayal hai naya

    jag uTha hai ek chaman meri hudud-e-zat mein

    us ke qarib hi kahin dasht-e-malal hai naya

    ruh mein jal uThe hain aaj lazzat-e-qurb ke charagh

    soz-o-gudaz-e-hijr bhi shamil-e-haal hai naya

    jhum uThe hain barg-o-bar phul khile hain be-shumar

    ai meri ruh-e-be-qarar tera to haal hai naya

    us ne meri nigah ke sare suKHan samajh liye

    phir bhi meri nigah mein ek sawal hai naya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Athar Nafees

    Athar Nafees

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now